Pages

Thursday, May 20, 2010

Inkaar - e- Mohabbat

Inkaar -e - Mohabbat

Woh kehta hai faraz, Yeh tere shakh -o- shuba haiKe humko tumse pyaar,

Mein kehta hu unse,Tafseesh - e mohabbat main yeh kya kaam hai,

ke daro duniya mein, aaj bhi teri pehchaan, mere naam se hoti hai

Iletaaja bas itni thi, ke teri parastheeesh( worshipping) karte,

Tere palkhon ke taale panaah lete, Par tujko yeh gawaarah na tha,

mere humnafaz,Warna aaj bhi allah - u akbar ke baad,

Mujhe Teri awaaz sunayi padhati hai

Guftugu- e Mohabbat ki tamanna rakhte theye,

Tujse Umeed toh na thi, ha par ush khuda par yakeen rakhte theye,

Par usneh bhi hamari, guzarish na kabool farmayi,

Warna aaj bhi har dua ke baad, teri salaamti ki khair maangte hai...

Tere Inkaar ko hum apne naseeb toh nahi maante!!J

oh Khuda mein yakeen rakhte hai, Woh Lakheero ko nahi maaante,
Ab tu isse junoon-e- mohabbat hii samjh

Par yeh kya kam sitam hai kambhakth, ke aaj bhi mere Takayul mein,

Tune apni zid ka pehra laga rakha hai!!!

-------------------------------------------------------------- Aapki Parwaaz








2 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete